Story 19: Main shayar to nahi
- By: admin
- On:

Waise to mehfil kisi hall mein jamti hai
Is waqt to ghar ka hall hi mehfil hai
To aaiye, haath mein jaam lijiye
Apni health ko salaam kijiye
Aap ke naak, kaan, haath salaamat hain
Aapki samajhdaari hi amaanat hain
Bank mein chand rupaye mehfooz hai
Ghar mein atta-dal aur juice hai
Kya pata tha duniya itni badal jayegi
March ka haseen mahina yeh rang layegi
Yeh ajeeb dastaan kab tak chalegi
Corona virus kis vaccine se maregi
Aur usko baad duniya kaisi dikhegi
Kya Chanel ki bag phir bhi bikegi
Faltu cheezon par kharche ki aadat
Khuda se badhkar paise ki ibaadat
5 star ke khaane ka shaukeen
Credit card se sab kuch mumkeen
Aur agar paise bachane ki gustaakhi ki hai
Usey bank mein rakhna kaafi nahi hai
Experts TV par nasheehat dete hain
Unki baat hum seriously lete hain
Magar kya unko kuch aata hai?
Kyunki jitna profit utna ghaata hai
Ek janaab Franklin Templeton ke naam se
Bechaare corona mein gaye wo kaam se
Lekin shikaar hue wo haalat se?
Ya ek virus se badi baat se
Lalach kehte hain buri bala hai
Lekin MBAs ke liye wo bhi kala hai
Jawaan ko jhurriyon ki cream bech do
Mehnat ki kamaai ko jad se khench do
Naye naye tarah ke ishtihaar nikaal do
Khwaabon ki duniya mein janta ko daal do
Har ghar mein ho Maggi aur Coke
Na ho khidki, na ho shauch
Mumbai ki sattar feesadi aabaadi
Corona ne kari unki barbaadi
Jhuggi ke wo mehnati insaan
Jinka aaj chhin gaya imaan
Do waqt ki roti unhe naseeb nahin
Kai ke to ghar bhi kareeb nahin
Phanse hue hain anjaan sheher main
Na bus na train is pahar mein
Duniya ka har desh soch raha hai
Capitalism gala daboch raha hai
Vaccine agar ban bhi jaaegi
Kya sab ke hisse mein aaegi
Ya phir hamesha ki tarah kuch log
Beshumaar profit ka karenge bhog
Jaise ki China ke kaarkhaane
Lagein hue hain mask banane
Pehle to khaya chimgadad ka bachcha
Ketchup ke saath ya yun hi kachcha
Ab to aap samajh gaye honge
Lucknow se hain to ro pade honge
Haan main asli shayar to nahin
Magar jab zindagi hi nakli si ho gayi
To shayar kya nacheez hai
Ab tanhaee mein asliyat nazar aa rahi hai
Shayad bhaag daud ki duniya mein
Lautne ki chahat hi na ho
How did you like the story?
The author would love to know
4.8 / 5. Vote count: 23
No votes so far! Be the first to rate this post.
Absolutely love it!!
Amazing Ma’am ????
A beautiful composition in simple words describing the truth of life!!!!!!!!!! Aap ne jindagi ki sacchai se roobaroo karwaya hai
It’s just out of the world ma’am.Absolute reality.????????Loved it.??